Parhne Ke Behtareen Tareeqay

by admin

Jab imtehaan qareeb aa jatay hain tou students ki pareshaani sawa nezay par char uthti hai. Har aik din behad qeemti hota hai aur social media istemaal karna ya koi aur tafreh karna waqt gawane ke ilawa kuch aur nahi lagta. 

Magar matric aur intermediate mai pohnchne ke baad, khususan saal ke aakhir mai, students ko bohot saare kaam sanbhalne hotay hain. Lahore Board 9th class aur Lahore Board 10th class jesi jamatein kaafi mushkil saabit hoti hain bachon ke liye kyun ke ye dou saal board ke imtehaanat ke pehlay hotay hain.

Inn saari cheezon ko madd-e-nazar rakhte hue is fehrist ko parhna Lahore Board aur baqi boards ke bachon ke liye faidemand saabit hoga. 

Board exams ki tayari behtareen andaz se karne ke liye kuch mashwaray darj zail hain: 

  • Parchon ki mukamal tayari ke liye waqt ka intezaam

Waqt asaani se haath se nikal jata hai aur iss ko puri tarha apne faiday ke liye istemaal karna kaafi ehm hai. Darasal, exams ki tayari karna aik tafseeli amal hai jiss ke natijay aap ke rozgar aur zindagi par gehra asar rakhte hain. 

Agar aap waqt ka faida uthana nahi seekh paye tou aap ke imtehanat mai aap ka nuqsaan ho sakta hai.

  • Parhai mai madad ke liye solved past papers ka istemaal

Har Lahore Board, Federal Board, Karachi Board, ya deegar imtehaani boards se taaluq rakhne wala shagird iss baat ko jaanta hai ke solved past papers se parhne ke bohot se fawaid hain. Maslan, asal imtehaan se pehlay aap khud se apna imthehaan le saktay hain, solved past papers ki badaulat.

  • Apni parhai ke liye aik jaga makhsoos karna

Aksar bachay samhajtay hain ke parhai kisi bhi jaga ho sakti hai, lekin un ki iss soch mai ghalti hai. Kyun ke insaani zehn apne ird gird ki tamam cheezon se asar andaz hota hai, uss ke liye ehm hai ke parhai ke waqt tawwajo ka mauhal ho. 

  • Aas paas ke shor aur dilchaspion se bachna

Aap kaafi tawwajo se apne parchay ki tayari kar rahe hain, magar achanak se aap ke smartphone pe aap ke dost ya pasandeeda channel ki notification aati hai. Uss hi lamhay aap ka zehn parhai se uth ke internet pe lag jata hai aur aap ke qeemti waqt ka zian hota hai. 

Smartphone notifications ke ilawa, kitchen se aata hua shor ya parosion ke gup shup hi aap k board ke imtehaan ki tayari ke liye mushkilaat paida kar deti hain. 

Chun ke khatmi imtehanaat ki tayarion se zyada zaroori kam hi kaam hotay hain, Lahore Board, Federal Board, ya Karachi Board ke umeedwaron ki zimedari hai ke wo durust andaaz se apne parchay ki tayrariyan kare. 

Umeed hai iss article se aap ke ilm mai izafa aur himmat mai izafa hua hoga.

Leave a Comment